Wednesday, February 8, 2012

Gulon Mein Rang Bhare..

Gulo'n mein rang bhare, baad-e-naubahaar chale
chale bhi aao ki gulshan ka karobaar chale

qafas udaas hai yaaro'n, saba se kuch to kaho
kahee'n to bahr-e-khuda aaj ziqr-e-yaar chale

kabhi to subh tere kunj-e-lab se ho aagaaz
kabhi to shab sar-e-kaakul se mushqbaar chale

bada hai dard ka rishta, ye dil gareeb sahi
tumhaare naam pe aayenge ghamgusaar chale

jo hum pe guzri so guzri magar shab-e-hijraa'n
hamaare ashq teri aaqbat sanwaar chale

huzoor-e-yaar huee daftar-e-junoo'n ki talab
girah mein leke garebaan ka taar-taar chale

maqaam 'Faiz' koi raah mein jancha hi nahi'n
jo ku-e-yaar se nikle to su-e-daar chale.

No comments:

Post a Comment